ManqabatNaat Lyrics

Mein to Panjatan ka Ghulam hoon

Mein to Panjatan ka Ghulam hoon

Mein to Panjatan ka Ghulam hoon
Mein Ghulaam ibn e Ghulam hoon

Mujhe ishq hai to Khuda se hai
Mujhe ishq hai to Rasool se
Yeh karam hai Sara Batool ka
Mere monh se aaye mehak sada
Jo mein naam loon tera jhoom kay
Mein to Panjatan ka Ghulam hoon

Mujhe ishq Sarv o Saman se hai
Mujhe ishq saare Chaman se hai
Mujhe ishq un kay Watan se hai
Mujhe ishq unki Gali se hai
Mujhe ishq hai to Ali se hai
Mujhe ishq hai to Hassan se hai
Mujhe ishq hai to Hussain se hai
Mujhe ishq Shah e Zaman se hai
Mein to Panjatan ka Ghulam hoon

Hua kaise tan se woh sar juda
Jahan ishq ho wahin Karbala
Meri baat unhi ki hai
Mere saamne wohi zaat hai
Wohi jinko Sher e Khuda kahein
Jinhein baab e Salle ala kahein
Wohi jino Aale Nabi kahein
Wohi jinko zaat e Ali kahein
Wohi Pukhta hain, mein to Khaam hoon
Mein to Panjatan ka Ghulam hoon

Mein qamar hon shaare be nawa
Meri haisyat bhi bhala kia
Woh hain Badshahon kay Badshah
Mein hon un ke dar ka, bas ik gada
Mera Panjatan se hai wasta
Mera nisbaton ka hai silsila
Mein Faqeer Khair ul Anam hoon
Mein to Panjatan ka Ghulam hoon
Mein Ghulam ibn e Ghulam hoon
Mein to Panjatan ka Ghulaam hoon
Mein to Panjatan ka Ghulaam hoon

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Duas to Increase Rizq & Wealth | Duas for Provision Islamic Duas! Recite this 100 Times a day! Easy Dhikr! 4 Promises that ALLAH Made in Holy Quran! SABR.. Beautiful. Masha’Allah ❤ Beautiful Masjid Al Haram Makkah ❤
Duas to Increase Rizq & Wealth | Duas for Provision 4 Promises that ALLAH Made in Holy Quran! Recite this 100 Times a day! Easy Dhikr! Islamic Duas! Beautiful Masjid Al Haram Makkah ❤ Allahumma innaka `afuwwun tuhibbul `afwa fa`fu `annee